achaanak tirii yaad kaa silsila
— Mohammad Alvi
Achaanak tiree yaad kaa silsila
Andhere kee deevaar ban ke giraa
Abhee koee saaya nikal aa.egaa
Zaraa jism ko raushnee to dikhaa
PaDaa thaa darakhton tale Toot kar
Chamaktee huee dhoop kaa aa.inaa
Koee apne ghar se nikaltaa naheen
Ajab haal hai aaj kal shahr kaa
Main us ke badan kee muqaddas kitaab
Nihaayat aqeedat se paDhtaa raha
Ye kya aap phir sher kahne lage
Are yaar 'alvee' ye phir kya huaa