aur baazaar se kya le jaon
— Mohammad Alvi
Aur baazaar se kya le jaaon
Pahlee baarish kaa mazaa le jaaon
Kuch to saughaat duun ghar vaalon ko
Raat aankhon men sajaa le jaaon
Ghar men saamaan to ho dilchaspee kaa
Haadisa koi uThaa le jaaon
Ik diyaa der se jaltaa hogaa
Saath thoDee see havaa le jaaon
Kyuun bhaTaktaa hoon ghalat raahon men
Khvaab men us kaa pata le jaaon
Roz kahtaa hai havaa kaa jhonkaa
Aa tujhe duur uDaa le jaaon
Aaj phir mujh se kahaa Dariya ne
Kya iraada hai bahaa le jaaon
Ghar se jaataa hoon to kaam aa.enge
Ek do ashk bachaa le jaaon
Jeb men Kuch to rahegaa 'alvee'
Laao tum sab kee duaa le jaaon