is shahr men kahiin pe hamaaraa makaan bhi ho
— Mohammad Alvi
Is shahr men kaheen pe hamaaraa makaan bhee ho
Baazaar hai to ham pe kabhee mehrbaan bhee ho
Jaagen to aas-paas kinaaraa dikhaa.ee de
Dariya ho pur-sukoon khulaa baadbaan bhee ho
Ik dost aisa ho ki miree baat baat ko
Sach maantaa ho aur zaraa bad-gumaan bhee ho
Raste men ek peD ho tanhaa khaDaa huaa
Aur us kee ek shaakh pe ik aashiyaan bhee ho
Us se mile zamaana huaa lekin aaj bhee
Dil se duaa nikaltee hai khush ho jahaan bhee ho
Ham us jagah chale hain jahaan ye zameen naheen
Achchhaa ho gar vahaan pe nayaa aasmaan bhee ho