kal raat suunii chhat pe ajab saaneha huaa
— Mohammad Alvi
Kal raat suunee chhat pe ajab saaneha huaa
Jaane do yaar kaun bataa.e ki kya huaa
Nazron se naaptaa hai samundar kee vus.aten
Saahil pe ik shakhs akelaa khaDaa huaa
Lambee saDak pe duur talak koi bhee na thaa
Palken jhapak raha thaa dareecha khulaa huaa
Maanaa ki too zaheen bhee hai khoob-roo bhee hai
Tujh saa na main huaa to bhalaa kya buraa huaa
Din Dhal raha thaa jab use dafnaa ke aa.e the
Sooraj bhee thaa malool zameen par jhukaa huaa
Kya zulm hai ki shahr men rehne ko ghar nahin
Jangal men peD peD pe thaa ghar banaa huaa
'alvee' ghazal kaa khabt abhee kam nahin huaa
Jaa.egaa jee ke saath ye haukaa lagaa huaa