kitnaa hasiin tha tuu kabhi kuch khayaal kar
— Mohammad Alvi
Kitnaa haseen tha too kabhi kuch khayaal kar
Ab aur apne aap ko mat paa.emaal kar
Marne ke Dar se aur kahaan tak jiyegaa too
Jiine ke din tamaam hue intiqaal kar
Ik yaad rah ga.ee hai magar wo bhee kam nahin
Ik dard rah gaya hai so rakhnaa sambhaal kar
Dekhaa to sab ke sar pe gunaahon kaa bojh tha
Khush the tamaam nekiyaan Dariya men Daal kar
Khvaaja ke dar se koi bhee khaalee nahin gaya
Aayaa hai itne duur to 'alvee' savaal kar