sher to sab kahte hain kya hai
— Mohammad Alvi
Sher to sab kahte hain kya hai
Chup rehne men aur mazaa hai
Kya paayaa deevaan chhapaa kar
Lo raddee ke mol bikaa hai
Darvaaze par pahra dene
Tanhaa.ee kaa bhuut khaDaa hai
Ghar men kya aayaa ki mujh ko
Deevaaron ne gher liyaa hai
Main naahaq din kaaT raha hoon
Kaun yahaan sau saal jiyaa hai
Aage peechhe koee naheen hai
Koee naheen to phir ye kya hai
Baahar dekh chukoon to dekhoon
Andar kya hone vaalaa hai
Ek ghazal aur kah lo 'alvee'
Phir barson tak chup rahnaa hai