wo mere saath aane pe tayyaar ho gaya
— Mohammad Alvi
Wo mere saath aane pe tayyaar ho gaya
Sote se haDbaDaa ke main bedaar ho gaya
Us ke haseen chehre pe khat khuub thaa magar
DaaDhee munDaa ke aur tarah-daar ho gaya
Battee bujhaa ke hero heroine lipaT ga.e
Qissa bahut hee phir to mazedaar ho gaya
Qaatil faraar ho gaya police ke aane tak
Ik raah-rau bechaara giraftaar ho gaya
Un ko gunaah karte hue main ne jaa liyaa
Phir un ke saath main bhee gunahgaar ho gaya
Mardaangee kaa us kee bahut shor thaa magar
Aa.ee shab-e-visaal to beemaar ho gaya