aankhon se hayaa tapke hai andaaz to dekho
— Momin Khan Momin
Aankhon se hayaa Tapke hai andaaz to dekho
Hai bul-havason par bhee sitam naaz to dekho
Us but ke liye main havas-e-hoor se guzraa
Is ishq-e-khush-anjaam kaa aaghaaz to dekho
Chashmak miree vahshat pe hai kya hazrat-e-naaseh
Tarz-e-nigah-e-chashm-e-fusoon-saaz to dekho
Arbaab-e-havas haar ke bhee jaan pe khele
Kam-taala.i-e-aashiq-e-jaan-baaz to dekho
Majlis men mire zikr ke aate hee uThe wo
Badnaami-e-ushshaaq kaa e.azaaz to dekho
Mahfil men tum aghyaar ko duz-deeda nazar se
Manzoor hai pinhaan na rahe raaz to dekho
Us ghairat-e-naaheed kee har taan hai deepak
Sho.ala saa lapak jaa.e hai awaaz to dekho
Den paaki-e-daaman kee gavaahee mire aansoo
Us yoosuf-e-bedard kaa e.ajaaz to dekho
Jannat men bhee 'momin' na milaa haa.e buton se
Jaur-e-ajal-e-tafraqa-pardaaz to dekho