adam men rahte to shaad rahte use bhi fikr e sitam na hota

Momin Khan Momin

Adam men rahte to shaad rahte use bhee fikr-e-sitam na hota Jo ham na hote to dil na hota jo dil na hota to gham na hota Huee khajaalat se nafrat afzoon gile kiye khuub aakhireen dam Wo kaash ik dam Thahar ke aate ki mere lab par bhee dam na hota PaDaa hee marnaa bas ab to ham ko jo us ne khat paDh ke naama-bar se Kahaa ki gar sach ye haal hota to daftar itnaa raqam na hota Kisee ke jalne kaa dhyaan aayaa vagarna dood-e-fughaan se mere Agar hazaaron sipehr bante tumhaaree aankhon men nam na hota Jo aap dar se uThaa na dete kaheen na kartaa main jab.ha-saa.ee Agarche ye sarnavisht men thaa tumhaare sar kee qasam na hota Visaal ko ham taras rahe the jo ab huaa to mazaa na paayaa Adoo ke marne kee jab khushee thee ki us ko ranj-o-alam na hota Jahaan-e-tang o hujoom-e-vahshat gharaz ki dam par buree banee thee Kahaan main jaataa na jee Thahartaa kaheen jo dasht-e-adam na hota Magar raqeebon ne sar uThaayaa ki ye na hota to be-muravvat Nazar se zaahir hayaa na hotee hayaa se gardan men kham na hota Vahaan taraqqee jamaal ko hai yahaan mohabbat hai roz-afzoon Shareek-e-zebaa thaa bul-havas bhee jo bevafaa.ee men kam na hota Ghalat ki saane' ko ho gavaaraa kharaash-e-angusht-haa-e-naazuk Javaab-e-khat kee umiid rakhte jo qaul-e-juffil-qalam na hota Ye be-takalluf phiraa rahee hai kashish dil-e-aashiqaan kee us ko Vagarna aisee nazaakaton pe khiraam-e-naaz ik qadam na hota Visaal to hai kahaan mayassar magar khayaal-e-visaal hee men Maze uDaate havas nikaltee jo saath andaaz-e-ram na hota Huaa musalmaan main aur Dar se na dars-e-vaa.iz ko sun ke 'momin' Banee thee dozakh balaa se bantee azaab-e-hijr-e-sanam na hota