agar gaflat se baaz aayaa jafaa ki
— Momin Khan Momin
Agar ghaflat se baaz aayaa jafaa kee
Talaafee kee bhee zaalim ne to kya kee
Mare aaghaaz-e-ulfat men ham afsos
Use bhee rah ga.ee hasrat jafaa kee
Kabhi insaaf hee dekhaa na deedaar
Qayaamat aksar us koo men raha kee
Falak ke haath se main jaa chhupoon gar
Khabar laa de koi tahtus-saraa kee
Shab-e-vasl-e-adoo kya kya jalaa hoon
Haqeeqat khul ga.ee roz-e-jazaa kee
Chaman men koi us koo se na aayaa
Ga.ee barbaad sab mehnat sabaa kee
Kushaad-e-dil pe baandhee hai kamar aaj
Nahin hai khairiyat band-e-qabaa kee
Kiyaa jab iltifaat us ne zaraa saa
PaDee ham ko husool-e-mudda.aa kee
Kahaa hai ghair ne tum se miraa haal
Kahe detee hai bebaakee adaa kee
Tumhen shor-e-fughaan se mere kya kaam
Khabar lo apnee chashm-e-surma-saa kee
Diyaa ilm o hunar hasrat-kashee ko
Falak ne mujh se ye kaisee daghaa kee
Gham-e-maqsad-rasee taa naza.a aur ham
Ab aa.ee maut bakht-e-naa-rasaa kee
Mujhe ai dil tiree jaldee ne maaraa
Nahin taqseer us der-aashnaa kee
Jafaa se thak ga.e to bhee na poochhaa
Ki too ne kis tavaqqo par wafa kee
Kahaa us but se martaa hoon to 'momin'
Kahaa main kya karoon marzee khuda kee