ai aarzu e qatl zaraa dil ko thaamnaa
— Momin Khan Momin
Ai aarzu-e-qatl zaraa dil ko thaamnaa
Mushkil paDaa miraa mire qaatil ko thaamnaa
Taaseer-e-be-qaraari-e-naakaam aafreen
Hai kaam un se shokh-e-shamaa.il ko thaamnaa
Dekhe hai chaandnee wo zameen par na gir paDe
Ai charkh apne too mah-e-kaamil ko thaamnaa
Muztar hoon kis kaa tarz-e-sukhan se samajh gaya
Ab zikr kya hai saama-e-aaqil ko thaamnaa
Ho sarsar-e-fughaan se na kyoonkar wo muztarib
Mushkil huaa hai parda-e-mahmil ko thaamnaa
Seekhe hain mujh se naalaa-e-nai aasmaan-shikan
Sayyaad ab qafas men anaadil ko thaamnaa
Ye zulf kham-ba-kham na ho kya taab-e-ghair hai
Tere junoon-zade kee salaasil ko thaamnaa
Ai hamdam aah talkhi-e-hijraan se dam nahin
Girtaa hai dekh jaam-e-halaahil ko thaamnaa
Seemaab-vaar mar ga.e zabt-e-qalaq se ham
Kya qahr hai tabee.at-e-maa.il ko thaamnaa
Aaghosh-e-gor ho ga.ee aakhir lahooluhaan
Aasaan nahin hai aap ke bismil ko thaamnaa
Siine pe haath dharte hee Kuch dam pe ban ga.ee
Lo jaan kaa azaab huaa dil ko thaamnaa
Baaqee hai shauq-e-chaak-e-garebaan abhee mujhe
Bas ai rafoogar apnee anaamil ko thaamnaa
Mat maangiyo amaan buton se ki hai haraam
'momin' zabaan-e-behooda saa.il ko thaamnaa