asar us ko zaraa nahin hota
— Momin Khan Momin
Asar us ko zaraa nahin hota
Ranj raahat-fazaa nahin hota
Bevafaa kahne kee shikaayat hai
To bhee waada-wafa nahin hota
Zikr-e-aghyaar se huaa maa'loom
Harf-e-naaseh buraa nahin hota
Kis ko hai zauq-e-talkh-kaamee lek
Jang bin Kuch mazaa nahin hota
Tum hamaare kisee tarah na hue
Varna Dunya men kya nahin hota
Us ne kya jaane kya kiyaa le kar
Dil kisee kaam kaa nahin hota
Imtihaan keejiye miraa jab tak
Shauq zor-aazmaa nahin hota
Ek dushman ki charkh hai na rahe
Tujh se ye ai duaa nahin hota
Aah tool-e-amal hai roz-fuzoon
Garche ik mudda.aa nahin hota
Tum mire paas hote ho goyaa
Jab koi doosraa nahin hota
Haal-e-dil yaar ko likhoon kyoonkar
Haath dil se judaa nahin hota
Rahm kar khasm-e-jaan-e-ghair na ho
Sab kaa dil ek saa nahin hota
Daaman us kaa jo hai daraaz to ho
Dast-e-aashiq rasaa nahin hota
Chaara-e-dil sivaa.e sabr nahin
So tumhaare sivaa nahin hota
Kyuun sune arz-e-muztar-e-'momin'
Sanam aakhir khuda nahin hota