dar to mujhe kis kaa hai ki main Kuch nahin kahtaa
— Momin Khan Momin
Dar to mujhe kis kaa hai ki main Kuch nahin kahtaa
Par haal ye ifshaa hai ki main Kuch nahin kahtaa
Naaseh ye gila kya hai ki main Kuch nahin kahtaa
Too kab miree suntaa hai ki main Kuch nahin kahtaa
Main boloon to chup hote hain ab aap jabhee tak
Ye ranjish-e-bejaa hai ki main Kuch nahin kahtaa
Kuch ghair se honTon men kahe hai ye jo poochho
Too vooheen mukartaa hai ki main Kuch nahin kahtaa
Kab paas phaTakne duun raqeebon ko tumhaare
Par paas tumhaaraa hai ki main Kuch nahin kahtaa
Naaseh ko jo chaahoon to abhee Thiik banaa duun
Par khauf khuda kaa hai ki main Kuch nahin kahtaa
Kya kya na kahe ghair kee gar baat na poochho
Ye hausla meraa hai ki main Kuch nahin kahtaa
Kya kahiye naseebon ko ki aghyaar kaa shikva
Sun sun ke wo chupkaa hai ki main Kuch nahin kahtaa
Mat poochh ki kis vaaste chup lag ga.ee zaalim
Bas kya kahoon main kya hai ki main Kuch nahin kahtaa
Chupke se tire milne kaa ghar vaalon men tere
Is vaaste charchaa hai ki main Kuch nahin kahtaa
Haan tang-dahaanee kaa na karne ke liye baat
Hai uzr par aisa hai ki main Kuch nahin kahtaa
Ai chaaragaro qaabil-e-darmaan nahin ye dard
Varna mujhe sauda hai ki main Kuch nahin kahtaa
Har vaqt hai dushnaam har ik baat men taana
Phir us pe bhee kahtaa hai ki main Kuch nahin kahtaa
Kuch sun ke jo main chup hoon to tum kahte ho bolo
Samjho to ye thoDaa hai ki main Kuch nahin kahtaa
Suntaa nahin wo varna ye sargoshi-e-aghyaar
Kya mujh ko gavaaraa hai ki main Kuch nahin kahtaa
'momin' ba-khuda sehr-bayaanee kaa jabhee tak
Har ek ko daavaa hai ki main Kuch nahin kahtaa