diida e hairaan ne tamaashaa kiyaa
— Momin Khan Momin
Deeda-e-hairaan ne tamaashaa kiyaa
Der talak wo mujhe dekhaa kiyaa
Zabt-e-fughaan go ki asar thaa kiyaa
Hausla kya kya na kiyaa kya kiyaa
Aankh na lagne se shab ahbaab ne
Aankh ke lag jaane kaa charchaa kiyaa
Mar ga.e us ke lab-e-jaan-bakhsh par
Ham ne ilaaj aap hee apna kiyaa
Bujh ga.ee ik aah men sham-e-hayaat
Mujh ko dam-e-sard ne ThanDaa kiyaa
Ghair ayaadat se buraa maante
Qatl kiyaa aan ke achchhaa kiyaa
Un se paree-vash ko na dekhe koi
Mujh ko miree sharm ne rusvaa kiyaa
Zindagee-e-hijr bhee ik maut thee
Marg ne kya kaar-e-maseehaa kiyaa
Paan men ye rang kahaan aap ne
Aap mire Khoon kaa da.avaa kiyaa
Jaur kaa shikva na karoon zulm hai
Raaz miraa sabr ne ifshaa kiyaa
Kuch bhee ban aatee nahin kya keejiye
Us ke bigaDne ne Kuch aisa kiyaa
Jaa.e thee teree mire dil men so hai
Ghair se kyuun shikva-e-bejaa kiyaa
Rahm falak aur mire haal par
Too ne karam ai sitam-aaraa kiyaa
Sach hee sahee aap kaa paimaan vale
Marg ne kab waada-e-fardaa kiyaa
Da.ava-e-takleef se jallaad ne
Roz-e-jazaa qatl phir apna kiyaa
Marg ne hijraan men chhupaayaa hai munh
Lo munh usee parda-nasheen kaa kiyaa
Dushman-e-'momin' hee rahe but sadaa
Mujh se mire naam ne ye kya kiyaa