dil bastagii sii hai kisi zulf e dotaa ke saath

Momin Khan Momin

Dil-bastagee see hai kisee zulf-e-dutaa ke saath Paalaa paDaa hai ham ko khuda kis balaa ke saath Kab tak nibhaa.iye but-e-naa-aashnaa ke saath Kiije wafa kahaan talak us bevafaa ke saath Yaad-e-havaa-e-yaar ne kya kya na gul khilaa.e Aa.ee chaman se nik.hat-e-gul jab sabaa ke saath Maangaa karenge ab se duaa hijr-e-yaar kee Aakhir to dushmanee hai asar ko duaa ke saath Hai kis kaa intizaar ki khvaab-e-adam se bhee Har baar chaunk paDte hain awaaz-e-paa ke saath Yaa rab visaal-e-yaar men kyoonkar ho zindagee Niklee hee jaan jaatee hai har har adaa ke saath Allaah re soz-e-aatish-e-gham baa'd-e-marg bhee UThte hain meree khaak se sho'le havaa ke saath Sau zindagee nisaar karoon aisee maut par Yuun ro.e zaar zaar too ahl-e-azaa ke saath Har dam araq araq nigah-e-be-hijaab hai Kis ne nigaah-e-garm se dekhaa hayaa ke saath Marne ke baa'd bhee vahee aavaargee rahee Afsos jaan ga.ee nafas-e-naa-rasaa ke saath Dast-e-junoon ne meraa garebaan samajh liyaa Uljhaa hai un se shokh ke band-e-qabaa ke saath Aate hee tere chal diye sab varna yaas kaa Kaisaa hujoom thaa dil-e-hasrat-fazaa ke saath Main kiine se bhee khush hoon ki sab ye to kahte hain Us fitna-gar ko laag hai is mubtalaa ke saath Allaah ree gumrahee but o but-khaana chhoD kar 'momin' chalaa hai kaa'ba ko ik paarsaa ke saath 'momin' vahee ghazal paDho shab jis se bazm men Aatee thee lab pe jaan zah-o-habbazaa ke saath