dil qaabil e mohabbat e jaanaan nahin raha

Momin Khan Momin

Dil qaabil-e-mohabbat-e-jaanaan nahin raha Wo valvala wo josh wo tughiyaan nahin raha ThanDaa hai garm-joshi-e-afsurdagee se jee Kaisaa asar ki naala-o-afghaan nahin raha Karte hain apne zakhm-e-jigar ko rafoo ham aap Kuch bhee khayaal-e-jumbish-e-mizhgaan nahin raha Dil-sakhtiyon se aa.ee tabee.at men naazukee Sabr-o-tahammul-e-qalaq-e-jaan nahin raha Ghash hain ki be-dimaagh hain gul-pairahan namat Az-bas dimaagh-e-itr-e-garebaan nahin raha Aankhen na badlen shokh-nazar kyuun ke ab ki main Maftoon-e-lutf-e-nargis-e-fattaan nahin raha Naakaamiyon kaa gaah gila gaah shukr hai Shauq-e-visaal o anduh-e-hijraan nahin raha Be-tooda tooda-khaak subuk-dosh ho ga.e Sar par junoon-e-ishq kaa ehsaan nahin raha Har lahza mehr-jalvon se hain chashm-poshiyaan Aa.eena-zaar deeda-e-hairaan nahin raha Phirte hain kaise parda-nasheenon se munh chhupaa.e Rusvaa hue ki ab gham-e-pinhaan nahin raha Aaseb-e-chashm-e-qahr-e-paree-tal.ataan nahin Ai uns ik nazar ki main insaan nahin raha Bekaaree-e-umeed se fursat hai raat din Wo kaarobaar-e-hasrat-o-hirmaan nahin raha Be-sair-e-dasht-o-baadiya lagne lagaa hai jee Aur is kharaab ghar men ki veeraan nahin raha Kya talkh-kaamiyon ne lab-e-zakhm see diye Wo shor-e-ishtiyaaq-e-namak-daan nahin raha Be-aitbaar ho ga.e ham tark-e-ishq se Az-bas ki paas-e-waada-o-paimaan nahin raha Niind aa.ee hai fasaana-e-gesoo-o-zulf se Vahm-o-gumaan-e-khvaab-e-pareshaan nahin raha Kis kaam ke rahe jo kisee se raha na kaam Sar hai magar ghuroor kaa saamaan nahin raha 'momin' ye laaf-e-ulfat-e-taqvaa hai kyuun magar Dillee men koi dushman-e-eemaan nahin raha