ejaaz e jaan dahii hai hamaare kalaam ko

Momin Khan Momin

Ejaaz-e-jaan-dahee hai hamaare kalaam ko Zinda kiyaa hai ham ne maseehaa ke naam ko Likkho salaam ghair ke khat men ghulaam ko Bande kaa bas salaam hai aise salaam ko Ab shor hai misaal jo dee us khiraam ko Yuun kaun jaantaa thaa qayaamat ke naam ko Aataa hai bahr-e-qatl wo daur ai hujoom-e-yaas Ghabraa na jaa.e dekh kaheen azhdahaam ko Go aap ne javaab buraa hee diyaa vale Mujh se bayaan na kiije adoo ke payaam ko Yaan vasl hai talaafi-e-hijraan men ai falak Kyuun sochtaa hai taaza sitam intiqaam ko Tere samand-e-naaz kee bejaa sharaarten Karte hain aag naala-e-andesha-kaam ko Girye pe mere zinda-dilo hanste kya ho aah Rotaa hoon apne main dil-e-jannat-maqaam ko Sah sah ke naa-durust tiree khoo bigaaD dee Ham ne kharaab aap kiyaa apne kaam ko Us se jalaa ke ghair ko ummeed-e-pukhtagee Lag jaa.e aag dil ke khayaalaat-e-khaam ko Bakht-e-saped aa.ina-daaree kare to main Dikhlaa.oon dil ke jaur us aa.eena-faam ko Jab too chale janaaza-e-aashiq ke saath saath Phir kaun vaarison ke sune izn-e-aam ko Shaayad ki din phire hain kisee teera-roz ke Ab ghair us galee men nahin phirte shaam ko Muddat se naam sunte the 'momin' kaa baare aaj Dekhaa bhee ham ne us sho.araa ke imaam ko