gairon pe khul na jaae kahiin raaz dekhnaa
— Momin Khan Momin
Ghairon pe khul na jaa.e kaheen raaz dekhnaa
Meree taraf bhee ghamza-e-ghammaaz dekhnaa
Udhte hee rang-e-rukh miraa nazron se thaa nihaan
Is murgh-e-par-shikasta kee parvaaz dekhnaa
Dushnaam-e-yaar tab-e-hazeen par giraan naheen
Ai ham-nafas nazaakat-e-awaaz dekhnaa
Dekh apna haal-e-zaar munajjim huaa raqeeb
Thaa saazgaar taala-e-naa-saaz dekhnaa
Bad-kaam kaa ma.aal buraa hai jazaa ke din
Haal-e-sip.har-e-tafraqa-andaaz dekhnaa
Mat rakhiyo gard-e-taarik-e-ushshaaq par qadam
Paamaal ho na jaa.e sar-afraaz dekhnaa
Meree nigaah-e-kheera dikhaate hain ghair ko
Be-taaqatee pe sarzanish-e-naaz dekhnaa
Tark-e-sanam bhee kam naheen soz-e-jaheem se
'momin' gham-e-ma.aal kaa aaghaaz dekhnaa