ham rang laagarii se hoon gul ki shamiim kaa
— Momin Khan Momin
Ham-rang laagharee se hoon gul kee shameem kaa
Toofaan-e-baad hai mujhe jhonkaa naseem kaa
ChhoDaa na Kuch bhee siine men tughyaan-e-ashk ne
Apnee hee fauj ho ga.ee lashkar ghaneem kaa
Yaaraan-e-nau ke vaaste mujh se khafaa hue
Tum ko nahin hai paas niyaaz-e-qadeem kaa
Yaad aa.ee kaafiron ko miree aah-e-sard kee
Kyoonki na kaanpne lage sho.ala jaheem kaa
Az-bas-ki sabt-e-naama hai soz-e-tap-e-daroon
Qaasid kaa haath hai yad-e-baizaa kaleem kaa
Vaa.iz kabhi hilaa nahin koo-e-sanam se main
Kya jaanoon kya hai martaba arsh-e-azeem kaa
Maaraa hai vasl-e-ghair ke shikve pe chaahiye
Madfan judaa judaa miree laash-e-do-neem kaa
Kahtaa hai baat baat pe kyuun jaan khaa ga.e
Goyaa ki pak gaya hai kaleja nadeem kaa
Vaa.iz buton ko khuld men le jaa.enge kaheen
Hai va.ada kaafiron se azaab-e-aleem kaa
'momin' tujhe to vahb hai momin hee wo nahin
Jo mo'taqid nahin tiree tab-e-saleem kaa