ho na betaab adaa tumhaarii aaj
— Momin Khan Momin
Ho na betaab adaa tumhaaree aaj
Naaz kartee hai be-qaraaree aaj
UD gaya khaak par ghubaar apna
Ho ga.ee khaak khaaksaaree aaj
Naza.a hai aur roz va.ada-e-vasl
Hai bahar-taur dam-shumaaree aaj
Maana-e-qatl kyuun huaa dushman
Jaan hee jaa.egee hamaaree aaj
Tere aate hee dam men dam aayaa
Ho ga.ee yaas umeed-vaaree aaj
Koi bheenche hai dil ko pahloo men
Kis ne kee us se ham-kinaaree aaj
Us ke shikve se hai asar zaahir
Kuch to kahtee hai aah-o-zaaree aaj
Ik na.ee aarzoo kaa Khoon huaa
Ham hain aur taaza sogvaaree aaj
ChhuT ga.e mar ke nesh-e-hijraan se
Kaam aayaa hai zakhm-e-kaaree aaj
Bekasee kyuun hai na.ash par majma.a
Kya huee too miree piyaaree aaj
Bhoole hazrat naseehat ai naaseh
Hai kisee kee to yaadgaaree aaj
'momin' us but ko dekh aah bharee
Kya huaa laaf-e-deen-daaree aaj