imtihaan ke liye jafaa kab tak
— Momin Khan Momin
Imtihaan ke liye jafaa kab tak
Iltifaat-e-sitam-numaa kab tak
Ghair hai bevafaa pa tum to kaho
Hai iraada nibaah kaa kab tak
Jurm maaloom hai zulekhaa kaa
Taana-e-dast-e-naarasaa kab tak
Mujh pe aashiq naheen hai Kuch zaalim
Sabr aakhir kare wafa kab tak
Dekhiye khaak men milaatee hai
Nigah-e-chashm-e-surma-saa kab tak
Kaheen aankhen dikhaa chuko mujh ko
Jaanib-e-ghair dekhnaa kab tak
Na milaa.enge wo na aa.enge
Josh-e-labbaik-o-marhabaa kab tak
Hosh men aa too mujh men jaan naheen
Ghaflat-e-jur.at-aazmaa kab tak
Le shab-e-vasl-e-ghair bhee kaaTee
Too mujhe aazmaa.egaa kab tak
Tum ko khoo ho ga.ee buraa.ee kee
Darguzar keejiye bhalaa kab tak
Mar chale ab to us sanam se milen
'momin' andesha-e-khuda kab tak