jo tere munh se na ho sharmsaar aaiina

Momin Khan Momin

Jo tere munh se na ho sharmsaar aa.eena To rukh kare soo-e-aa.eena-daar aa.eena Kahe hai dekh ke rukhsaar-e-yaar aa.eena Ki is safaa.ee pe sadqe nisaar aa.eena Siyaah-roo na kare tark-e-ulfat-e-gulfaam Main bul-havas ko dikhaa.oon hazaar aa.eena Safaa-e-dil kee kahaan qadr-e-teera-rozee men Charaagh-e-sub.h hai shab-haa-e-taar aa.eena Samajh liyaa magar is sabz rang ko tuutee Ki hai nazaare kaa ummeed-vaar aa.eena Wo sakht-jaan hoon ki dikhlaa.en gar dam-e-murdan To toD de kamar-e-kohsaar aa.eena Muqaabil us rukh-e-raushan ke khul ga.ee qal.ee Na Thahraa aag pe seemaab-vaar aa.eena Samaa rahe hain magar tere nau-ba-nau jalve Ki ban gaya hai tilism-e-bahaar aa.eena Shikast-e-rang pe mastee men hanste hain ham bhee Dikhaa.enge unhen vaqt-e-khumaar aa.eena Mujhe to kahte ho mat dekh meree jaanib too Aur aap dekhte ho baar baar aa.eena Balaa hai man-e-wafa nuur uD gaya naaseh Too le ke dekh to rang-e-azaar aa.eena Samajh too 'momin' agar naaravaa ho khud-beenee To dekhen kaahe ko parhez-gaar aa.eena