mahshar men paas kyuun dam e fariyaad aa gaya
— Momin Khan Momin
Mahshar men paas kyuun dam-e-fariyaad aa gaya
Rahm us ne kab kiyaa thaa ki ab yaad aa gaya
Uljhaa hai paanv yaar kaa zulf-e-daraaz men
Lo aap apne daam men sayyaad aa gaya
Naakaamiyon men tum ne jo tashbeeh mujh se dee
Sheereen ko dard-e-talkhi-e-farhaad aa gaya
Ham chaaraagar ko yuun hee pahnaa.enge beDiyaan
Qaaboo men apne gar wo paree-zaad aa gaya
Dil ko qalaq hai tark-e-mohabbat ke baad bhee
Ab aasmaan ko shikva-e-bedaad aa gaya
Wo bad-gumaan huaa jo kaheen sher men mire
Zikr-e-butaan-e-khalkh-o-naushaad aa gaya
The be-gunaah jur.at-e-paa-bos thee zaroor
Kya karte vahm-e-khajlat-e-jallaad aa gaya
Jo ho chukaa yaqeen ki nahin taaqat-e-visaal
Dam men hamaare wo sitam-eejaad aa gaya
Zikr-e-sharaab-o-hoor kalaam-e-khuda men dekh
'momin' main kya kahoon mujhe kya yaad aa gaya