main agar aap se jaon to qaraar aa jaae
— Momin Khan Momin
Main agar aap se jaa.oon to qaraar aa jaa.e
Par ye Dartaa hoon ki aisa na ho yaar aa jaa.e
Baandho ab chaaragaro chille ki wo bhee shaayad
Vasl-e-dushman ke liye soo-e-mazaar aa jaa.e
Kar zaraa aur bhee ai josh-e-junoon khvaar o zaleel
Mujh se aisa ho ki naaseh ko bhee aar aa jaa.e
Naam-e-bad-bakhti-e-ushshaaq-e-khizaan hai bulbul
Too agar nikle chaman se to bahaar aa jaa.e
Jiite jee ghair ko ho aatish-e-dozakh kaa azaab
Gar miree naash pe wo shola-azaar aa jaa.e
Kulfat-e-hijr ko kya ro.uun tire saamne main
Dil jo khaalee ho to aankhon men ghubaar aa jaa.e
Mahv-e-dildaar hoon kis tarah na hoon dushman-e-jaan
Mujh pe jab naaseh-e-bedard ko pyaar aa jaa.e
Thahar jaa josh-e-tapish hai to taDapnaa lekin
Chaarasaazon men zaraa dam dil-e-zaar aa jaa.e
Husn-e-anjaam kaa 'momin' mire baare hai khayaal
Yaanee kahtaa hai wo kaafir ki too maaraa jaa.e