royaa karenge aap bhi pahron isii tarah
— Momin Khan Momin
Royaa karenge aap bhee pahron isee tarah
ATkaa kaheen jo aap kaa dil bhee miree tarah
Aataa naheen hai wo to kisee Dhab se daav men
Bantee naheen hai milne kee us ke koee tarah
Tashbeeh kis se duun ki tarah-daar kee mire
Sab se niraalee vaz.a hai sab se na.ee tarah
Mar chuk kaheen ki too gham-e-hijraan se chhooT jaa.e
Kahte to hain bhale kee va-lekin buree tarah
Ne taab hijr men hai na aaraam vasl men
Kam-bakht dil ko chain naheen hai kisee tarah
Lagtee hain gaaliyaan bhee tire munh se kya bhalee
Qurbaan tere phir mujhe kah le usee tarah
Paamaal ham na hote faqat jaur-e-charkh se
Aa.ee hamaaree jaan pe aafat ka.ee tarah
Ne jaa.e vaan bane hai na bin jaa.e chain hai
Kya keejiye hamen to hai mushkil sabhee tarah
Ma.ashooq aur bhee hain bataa de jahaan men
Kartaa hai kaun zulm kisee par tiree tarah
Hoon jaan-ba-lab butaan-e-sitamgar ke haath se
Kya sab jahaan men jiite hain 'momin' isee tarah