sabr vahshat asar na ho jaae
— Momin Khan Momin
Sabr vahshat-asar na ho jaa.e
Kaheen sahraa bhee ghar na ho jaa.e
Rashk-e-paighaam hai inaan-kash-e-dil
Naama-bar raahbar na ho jaa.e
Dekho mat dekhiyo ki aa.eena
Ghash tumhen dekh kar na ho jaa.e
Hijr-e-parda-nasheen men marte hain
Zindagee parda-e-dar na ho jaa.e
Kasrat-e-sajda se wo naqsh-e-qadam
Kaheen paamaal-e-sar na ho jaa.e
Mere tagh.eer-e-rang ko mat dekh
Tujh ko apnee nazar na ho jaa.e
Mere aansoo na ponchhnaa dekho
Kaheen daamaan tar na ho jaa.e
Baat naaseh se karte Dartaa hoon
Ki fughaan be-asar na ho jaa.e
Ai qayaamat na aa.iyo jab tak
Wo miree gor par na ho jaa.e
Maana-e-zulm hai taghaaful-e-yaar
Bakht-e-bad ko khabar na ho jaa.e
Ghair se be-hijaab milte ho
Shab-e-aashiq sahar na ho jaa.e
Rashk-e-dushman kaa faa.eda maaloom
Muft jee kaa zarar na ho jaa.e
Ai dil aahista aah-e-taab-shikan
Dekh TukDe jigar na ho jaa.e
'momin' eemaan qubool dil se mujhe
Wo but aazurda gar na ho jaa.e