ulte wo shikve karte hain aur kis adaa ke saath
— Momin Khan Momin
UlTe wo shikve karte hain aur kis adaa ke saath
Be-taaqatee ke ta.ane hain uzr-e-jafaa ke saath
Bahr-ayaadat aa.e wo lekin qazaa ke saath
Dam hee nikal gaya miraa awaaz-e-paa ke saath
Be-parda ghair paas use baiThaa na dekhte
UTh jaate kaash ham bhee jahaan se hayaa ke saath
Wo laala-roo gaya na ho gulgasht-e-baagh ko
Kuch rang boo-e-gul ke evaz hai sabaa ke saath
Us kee galee kahaan ye to Kuch baagh-e-khuld hai
Kis jaa.e mujh ko chhoD ga.ee maut laa ke saath
Aatee hai boo-e-daagh-e-shab-e-taar hijr men
Siina bhee chaak ho na gaya ho qabaa ke saath
Gulbaang kis kaa mashvara-e-qatl ho gaya
Kuch aaj boo-e-khoon hai vahaan kee havaa ke saath
The va.ade se phir aane ke khush ye khabar na thee
Hai apnee zindagaanee usee bevafaa ke saath
Kooche se apne ghair kaa munh hai miTaa sake
Aashiq kaa sar lagaa hai tire naqsh-e-paa ke saath
Allaah re gumrahee but o but-khaana chhoD kar
'momin' chalaa hai kaabe ko ik paarsaa ke saath