waada e vaslat se dil ho shaad kya
— Momin Khan Momin
Waada-e-vaslat se dil ho shaad kya
Tum se dushman kee mubaarakbaad kya
Kuch qafas men in dinon lagtaa hai jee
Aashiyaan apna huaa barbaad kya
Naala-e-paiham se yaan fursat naheen
Hazrat-e-naaseh karen irshaad kya
Hain asiir us ke jo hai apna asiir
Ham na samjhe said kya sayyaad kya
Shokh-baazaaree thee sheereen bhee magar
Varna farq-e-khusrau-o-farhaad kya
Nashsha-e-ulfat se bhoole yaar ko
Sach hai aisee be-khudee men yaad kya
Naala ik dam men uDaa Daale dhuen
Charkh kya aur charkh kee buniyaad kya
Jab mujhe ranj-e-dil-aazaaree na ho
Bevafaa phir haasil-e-bedaad kya
Paanv tak pahunchee wo zulf-e-kham-ba-kham
Sarv ko ab baandhiye aazaad kya
Kya karoon allaah sab hain be-asar
Valvala kya naala kya fariyaad kya
In naseebon par kiyaa akhtar-shanaas
Aasmaan bhee hai sitam-eejaad kya
Roz-e-mahshar kee tavaqqo hai abas
Aisee baaton se ho khaatir shaad kya
Gar bahaa-e-khoon-e-aashiq hai visaal
Intiqaam-e-zahmat-e-jallaad kya
But-kada jannat hai chaliye be-hiraas
Lab pe 'momin' harche baadaa-baad kya