wo jo ham men tum men qaraar thaa tumhen yaad ho ki na yaad ho

Momin Khan Momin

Wo jo ham men tum men qaraar thaa tumhen yaad ho ki na yaad ho Vahee ya.anee va.ada nibaah kaa tumhen yaad ho ki na yaad ho Wo jo lutf mujh pe the beshtar wo karam ki thaa mire haal par Mujhe sab hai yaad zaraa zaraa tumhen yaad ho ki na yaad ho Wo na.e gile wo shikaayaten wo maze maze kee hikaayaten Wo har ek baat pe rooThnaa tumhen yaad ho ki na yaad ho Kabhi baiThe sab men jo roo-ba-roo to ishaaraton hee se guftugoo Wo bayaan shauq kaa barmalaa tumhen yaad ho ki na yaad ho Hue ittifaaq se gar baham to wafa jataane ko dam-ba-dam Gila-e-malaamat-e-aqribaa tumhen yaad ho ki na yaad ho Koi baat aisee agar huee ki tumhaare jee ko buree lagee To bayaan se pahle hee bhoolnaa tumhen yaad ho ki na yaad ho Kabhi ham men tum men bhee chaah thee kabhi ham se tum se bhee raah thee Kabhi ham bhee tum bhee the aashnaa tumhen yaad ho ki na yaad ho Suno zikr hai ka.ee saal kaa ki kiyaa ik aap ne va.ada thaa So nibaahane kaa to zikr kya tumhen yaad ho ki na yaad ho Kahaa main ne baat wo koThe kee mire dil se saaf utar ga.ee To kahaa ki jaane miree balaa tumhen yaad ho ki na yaad ho Wo bigaDnaa vasl kee raat kaa wo na maannaa kisee baat kaa Wo nahin nahin kee har aan adaa tumhen yaad ho ki na yaad ho Jise aap ginte the aashnaa jise aap kahte the baa-wafa Main vahee hoon 'momin'-e-mubtalaa tumhen yaad ho ki na yaad ho