achchhaa huaa ki meraa nasha bhi utar gaya
— Munawwar Rana
Achchhaa huaa ki meraa nasha bhee utar gaya
Teree kalaa.ee se ye kaDaa bhee utar gaya
Wo mutma.in bahut hai miraa saath chhoD kar
Main bhee hoon khush ki qarz miraa bhee utar gaya
Rukhsat kaa vaqt hai yoonhee chehra khilaa rahe
Main Toot jaa.oongaa jo zaraa bhee utar gaya
Bekas kee aarzoo men pareshaan hai zindagee
Ab to faseel-e-jaan se diyaa bhee utar gaya
Ro-dho ke wo bhee ho gaya khaamosh ek roz
Do-chaar din men rang-e-hinaa bhee utar gaya
Paanee men wo kashish hai ki allaah kee panaah
Rassee kaa haath thaame ghaDaa bhee utar gaya
Wo muflisee ke din bhee guzaare hain main ne jab
Choolhe se khaalee haath tavaa bhee utar gaya
Sach bolne men nashsha ka.ee botalon kaa thaa
Bas ye huaa ki meraa galaa bhee utar gaya
Pahle bhee be-libaas the itne magar na the
Ab jism se libaas-e-hayaa bhee utar gaya