ade kabuutar ude khayaal
— Munawwar Rana
Ik boseeda masjid men
Deevaaron mehraabon par
Aur kabhi chhat kee jaanib
Meree aankhen ghuum rahi hain
Jaane kis ko DhoonD rahi hain
Meree aankhen ruk jaatee hain
Lohe ke us khaalee hook par
Jo khaalee khaalee nazron se
Har ik chehra dekh raha hai
Ik aise insaan kaa shaayad
Jo ik pankhaa le aa.egaa
Laa.egaa aur duur karegaa
Masjid kee be-saamaanee ko
Khaalee hook kee veeraanee par
Main ne jab us hook ko dekhaa
Meree nannhee phuul see beTee
Meree aankhon men dauD aa.ee
Bholee maan ne us kee
Apnee pyaaree raaj-dulaaree beTee ke
Donon kaanon ko
Apne haathon se chhed diyaa hai
Phoolon jaise kaanon men phir
Niim ke tinke Daal diye hain
Ummeedon aason ke sahaare
Dil hee dil men soch rahi hai
Jab ham ko allaah hamaaraa
ThoDaa saa bhee paisa degaa
BeTee ke kaanon men us din
Baaliyaan hongee bunde honge
Main ne anthak mehnat kar ke
Pankhaa ek khareed liyaa hai
Masjid ke is khaalee hook ko
Main ne pankhaa saunp diyaa hai
Hook men pankhaa dekh ke mujh ko
Hotaa hai mahsoos ki jaise
Meree beTee baaliyaan pahne
Ghar kee chhat par ghuum rahi hai
Ek bosida masjid mein
Diwaron mehrabon par
Aur kabhi chhat ki jaanib
Meri aankhen ghum rahi hain
Jaane kis ko DhunD rahi hain
Meri aankhen ruk jati hain
Lohe ke us KHali hook par
Jo KHali KHali nazron se
Har ek chehra dekh raha hai
Ek aise insan ka shayad
Jo ek pankha le aaega
Laega aur dur karega
Masjid ki be-samani ko
KHali hook ki virani par
Main ne jab us hook ko dekha
Meri nannhi phul si beTi
Meri aankhon mein dauD aai
Bholi man ne us ki
Apni pyari raj-dulari beTi ke
Donon kanon ko
Apne hathon se chhed diya hai
Phulon jaise kanon mein phir
Nim ke tinke Dal diye hain
Ummidon aason ke sahaare
Dil hi dil mein soch rahi hai
Jab hum ko allah hamara
ThoDa sa bhi paisa dega
BeTi ke kanon mein us din
Baaliyan hongi bunde honge
Main ne anthak mehnat kar ke
Pankha ek KHarid liya hai
Masjid ke is KHali hook ko
Main ne pankha saunp diya hai
Hook mein pankha dekh ke mujh ko
Hota hai mahsus ki jaise
Meri beTi baaliyan pahne
Ghar ki chhat par ghum rahi hai