aisa lagtaa hai ki kar degaa ab aazaad mujhe
— Munawwar Rana
Aisa lagtaa hai ki kar degaa ab aazaad mujhe
Meree marzee se uDaane lagaa sayyaad mujhe
Main hoon sarhad pe bane ek makaan kee soorat
Kab talak dekhiye rakhtaa hai wo aabaad mujhe
Ek qisse kee tarah wo to mujhe bhuul gaya
Ik kahaanee kee tarah wo hai magar yaad mujhe
Kam se kam ye to bataa de ki kidhar jaa.egee
Kar ke ai khaana-kharaabee miree barbaad mujhe
Main samajh jaataa hoon is men koee kamzoree hai
Mere jis sher pe miltee hai bahut daad mujhe