anaa havas ki dukaanon men aa ke baith gaii

Munawwar Rana

Anaa havas kee dukaanon men aa ke baith ga.ee Ajiib mainaa hai shikron men aa ke baith ga.ee Jagaa raha hai zamaana magar nahin khulteen Kahaan kee niind in aankhon men aa ke baith ga.ee Wo faakhta jo mujhe dekhte hee uDtee thee BaDe saleeqe se bachchon men aa ke baith ga.ee Tamaam talkhiyaan saaghar men raqs karne lageen Tamaam gard kitaabon men aa ke baith ga.ee Tamaam shahr men mauzoo-e-guftugoo hai yahee Ki shaahzaadee ghulaamon men aa ke baith ga.ee Nahin thee doosree koi jagah bhee chhupne kee Hamaaree umr khilaunon men aa ke baith ga.ee UTho ki os kee boonden jagaa rahi hain tumhen Chalo ki dhoop dareechon men aa ke baith ga.ee Chalee thee dekhne sooraj kee bad-mizaajee ko Magar ye os bhee phoolon men aa ke baith ga.ee Tujhe main kaise bataa.oon ki shaam hote hee Udaasee kamre ke taaqon men aa ke baith ga.ee