Baadshahon ko sikhaayaa hai qalandar honaa
— Munawwar Rana
Baadshahon ko sikhaayaa hai qalandar honaa
Aap aasaan samajhte hain munavvar honaa
Ek aansoo bhee hukoomat ke liye khatra hai
Tum ne dekhaa naheen aankhon kaa samundar honaa
Sirf bachchon kee mohabbat ne qadam rok liye
Varna aasaan thaa mere liye be-ghar honaa
Ham ko ma.aloom hai shohrat kee bulandee ham ne
Qabr kee miTTee kaa dekhaa hai baraabar honaa
Is ko qismat kee kharaabee hee kahaa jaa.egaa
Aap kaa shahr men aanaa miraa baahar honaa
Sochtaa hoon to kahaanee kee tarah lagtaa hai
Raaste se miraa taknaa tiraa chhat par honaa
Mujh ko qismat hee pahunchne naheen detee varna
Ek e.azaaz hai us dar kaa gadaagar honaa
Sirf taareekh bataane ke liye zinda hoon
Ab miraa ghar men bhee honaa hai calendar honaa