chale maqtal ki jaanib aur chhaatii khol dii ham ne

Munawwar Rana

Chale maqtal kee jaanib aur chhaatee khol dee ham ne BaDhaane par patang aa.e to charkhee khol dee ham ne PaDaa rehne do apne boriye par ham faqeeron ko PhaTee rah jaa.engee aankhen jo muTThee khol dee ham ne Kahaan tak bojh baisaakhee kaa saaree zindagee Dhote Utarte hee kun.en men aaj rassee khol dee ham ne Farishto tum kahaan tak naama-e-a.amaal dekhoge Chalo ye nekiyaan gin lo ki gaThree khol dee ham ne Tumhaaraa naam aayaa aur ham takne lage rasta Tumhaaree yaad aa.ee aur khiDkee khol dee ham ne Puraane ho chale the zakhm saare aarzooon ke Kaho chaaragaron se aaj paTTee khol dee ham ne Tumhaare dukh uThaa.e is liye phirte hain muddat se Tumhaare naam aa.ee thee jo chiTThee khol dee ham ne