haan ijaazat hai agar koi kahaanii aur hai
— Munawwar Rana
Haan ijaazat hai agar koi kahaanee aur hai
In kaToron men abhee thoDaa saa paanee aur hai
Maz.habee mazdoor sab baiThe hain in ko kaam do
Ek imaarat shahr men kaafee puraanee aur hai
Khaamushee kab cheekh ban jaa.e kise maaloom hai
Zulm kar lo jab talak ye be-zabaanee aur hai
Khushk patte aankh men chubhte hain kaanTon kee tarah
Dasht men phirnaa alag hai baaghbaanee aur hai
Phir vahee uktaahaTen hongee badan chaupaal men
Umr ke qisse men thoDee see javaanee aur hai
Bas isee ehsaas kee shiddat ne booDhaa kar diyaa
TooTe-phooTe ghar men ik laDkee siyaanee aur hai