hanste hue maan baap ki gaalii nahin khaate

Munawwar Rana

Hanste hue maan-baap kee gaalee naheen khaate Bachche hain to kyuun shauq se miTTee naheen khaate Tum se naheen milne kaa iraada to hai lekin Tum se na milenge ye qasam bhee naheen khaate So jaate hain fotpath pe akhbaar bichhaa kar Mazdoor kabhee niind kee golee naheen khaate Bachche bhee ghareebee ko samajhne lage shaayad Ab jaag bhee jaate hain to saharee naheen khaate Daavat to baDee chiiz hai ham jaise qalandar Har ek ke paison kee davaa bhee naheen khaate Allaah ghareebon kaa madad-gaar hai 'raanaa' Ham logon ke bachche kabhee sardee naheen khaate