judaa rahtaa hoon main tujh se to dil be taab rahtaa hai
— Munawwar Rana
Judaa rahtaa hoon main tujh se to dil be-taab rahtaa hai
Chaman se duur rah ke phuul kab shaadaab rahtaa hai
Andhere aur ujaale kee kahaanee sirf itnee hai
Jahaan mahboob rahtaa hai vaheen mahtaab rahtaa hai
Muqaddar men likhaa kar laa.e hain ham boriyaa lekin
Tasavvur men hamesha resham-o-kam-khvaab rahtaa hai
Hazaaron bastiyaan aa jaa.engee toofaan kee zad men
Miree aankhon men ab aansoo naheen sailaab rahtaa hai
Bhale lagte hain scholon kee uniform men bachche
Kanval ke phuul se jaise bharaa taalaab rahtaa hai
Ye baazaar-e-havas hai tum yahaan kaise chale aa.e
Ye sone kee dukaanen hain yahaan tezaab rahtaa hai
Hamaaree har pareshaanee inhee logon ke dam se hai
Hamaare saath ye jo halqa-e-ahbaab rahtaa hai
BaDee mushkil se aate hain samajh men lucknow vaale
Dilon men faasle lab par magar aadaab rahtaa hai