khud apne hi haathon kaa likhaa kaat raha hoon
— Munawwar Rana
Khud apne hee haathon kaa likhaa kaaT raha hoon
Le dekh le Dunya main pataa kaaT raha hoon
Ye baat mujhe der se ma.aloom huee hai
Zindaan hai ye Dunya main sazaa kaaT raha hoon
Dunya mire sajde ko ibaadat na samajhnaa
Peshaanee pe qismat kaa likhaa kaaT raha hoon
Ab aap kee marzee hai ise jo bhee samjhiye
Lekin main ishaare se havaa kaaT raha hoon
Too ne jo sazaa dee thee javaanee ke dinon men
Main umr kee chaukhaT pe khaDaa kaaT raha hoon