khud kalaami
— Munawwar Rana
Kya zarooree hai ki ham phone pe baaten bhee karen
Kyaa zarooree hai ki har lafz mahakne bhee lage
Kyaa zarooree hai ki har zakhm se khushboo aa.e
Kyaa zarooree hai vafaadaar rahen ham donon
Kyaa zarooree hai davaa saaree asar kar jaa.e
Kyaa zarooree hai ki har khvaab ham achchhaa dekhen
Kyaa zarooree hai ki jo chaahen vahee ho jaa.e
Kyaa zarooree hai ki mausam ho hamaaraa saathee
Kyaa zarooree hai safar men kaheen saaya bhee mile
Kyaa zarooree hai tabassum yoonhee maujood rahe
Kyaa zarooree hai har ik raah men jugnoo chamkeen
Kyaa zarooree hai ki ashkon ko ravaanee bhee mile
Kyaa zarooree hai ki milnaa hee muqaddar Thahre
Kyaa zarooree hai ki har roz milen ham donon
Ham jahaan gaanv basaa.en vahaan ik jhiil bhee ho
Kyaa zarooree hai mohabbat tiree takmeel bhee ho
Kya zaruri hai ki hum phone pe baaten bhi karen
Kya zaruri hai ki har lafz mahakne bhi lage
Kya zaruri hai ki har zaKHm se KHushbu aae
Kya zaruri hai wafadar rahen hum donon
Kya zaruri hai dawa sari asar kar jae
Kya zaruri hai ki har KHwab hum achchha dekhen
Kya zaruri hai ki jo chahen wahi ho jae
Kya zaruri hai ki mausam ho hamara sathi
Kya zaruri hai safar mein kahin saya bhi mile
Kya zaruri hai tabassum yunhi maujud rahe
Kya zaruri hai har ek rah mein jugnu chamkin
Kya zaruri hai ki ashkon ko rawani bhi mile
Kya zaruri hai ki milna hi muqaddar Thahre
Kya zaruri hai ki har roz milen hum donon
Hum jahan ganw basaen wahan ek jhil bhi ho
Kya zaruri hai mohabbat teri takmil bhi ho