masarraton ke khazaane hi kam nikalte hain
— Munawwar Rana
Masarraton ke khazaane hee kam nikalte hain
Kisee bhee siine ko kholo to gham nikalte hain
Hamaare jism ke andar kee jhiil suukh ga.ee
Isee liye to ab aansoo bhee kam nikalte hain
Ye karbalaa kee zameen hai ise salaam karo
Yahaan zameen se patthar bhee nam nikalte hain
Yahee hai zid to hathelee pe apnee jaan liye
Ameer-e-shahr se kah do ki ham nikalte hain
Kahaan har ek ko milte hain chaahne vaale
Naseeb vaalon ke gesoo men kham nikalte hain
Jahaan se ham ko guzarne men sharm aatee hai
Usee galee se ka.ee mohtaram nikalte hain
Tumhee bataao ki main khilkhilaa ke kaise hansoon
Ki roz khaana-e-dil se alam nikalte hain
Tumhaare ahd-e-hukoomat kaa saaneha ye hai
Ki ab to log gharon se bhee kam nikalte hain