mittii men milaa de ki judaa ho nahin saktaa
— Munawwar Rana
MiTTee men milaa de ki judaa ho naheen saktaa
Ab is se ziyaada main tiraa ho naheen saktaa
Dahleez pe rakh dee hain kisee shakhs ne aankhen
Raushan kabhee itnaa to diyaa ho naheen saktaa
Bas too miree awaaz se awaaz milaa de
Phir dekh ki is shahr men kya ho naheen saktaa
Ai maut mujhe too ne museebat se nikaalaa
Sayyaad samajhtaa thaa rihaa ho naheen saktaa
Is khaak-e-badan ko kabhee pahunchaa de vahaan bhee
Kya itnaa karam baad-e-sabaa ho naheen saktaa
Peshaanee ko sajde bhee ataa kar mire maulaa
Aankhon se to ye qarz adaa ho naheen saktaa
Darbaar men jaanaa miraa dushvaar bahut hai
Jo shakhs qalandar ho gadaa ho naheen saktaa