mujh ko gahraaii men mittii ki utar jaanaa hai
— Munawwar Rana
Mujh ko gahraa.ee men miTTee kee utar jaanaa hai
Zindagee baandh le saamaan-e-safar jaanaa hai
Ghar kee dahleez pe raushan hain wo bujhtee aankhen
Mujh ko mat rok mujhe lauT ke ghar jaanaa hai
Main wo mele men bhaTaktaa huaa ik bachcha hoon
Jis ke maan baap ko rote hue mar jaanaa hai
Zindagee taash ke patton kee tarah hai meree
Aur patton ko bahar-haal bikhar jaanaa hai
Ek be-naam se rishte kee tamannaa le kar
Is kabootar ko kisee chhat pe utar jaanaa hai