patthar ke hont
— Munawwar Rana
Kal raat
Baarish se jism
Aur aan.suon se
Chehra bhiig raha tha
Us ke gham kee parda-daaree
Shaayad khuda bhee karnaa chaahtaa tha
Lekin dhoop nikalne ke ba.ad
Jism to suukh gaya
Lekin aankhon ne
Qudarat kaa kahnaa maanne se
Bhee
Inkaar kar diyaa
Us ke udaas
HonT patthar ke ho ga.e the
Aur patthar muskuraa nahin sakte
Kal raat
Barish se jism
Aur aansuon se
Chehra bhig raha tha
Us ke gham ki parda-dari
Shayad KHuda bhi karna chahta tha
Lekin dhup nikalne ke baad
Jism to sukh gaya
Lekin aankhon ne
Qudarat ka kahna manne se
Bhi
Inkar kar diya
Us ke udas
HonT patthar ke ho gae the
Aur patthar muskura nahin sakte