sahraa pasand ho ke simatne lagaa hoon main

Munawwar Rana

Sahraa-pasand ho ke simaTne lagaa hoon main Andar se lag raha hai ki baTne lagaa hoon main Kya phir kisee safar pe nikalnaa hai ab mujhe Deevaar-o-dar se kyuun ye lipaTne lagaa hoon main Aate hain jaise jaise bichhaDne ke din qareeb Lagtaa hai jaise rail se kaTne lagaa hoon main Kya mujh men ehtijaaj kee taaqat nahin rahee Peechhe kee samt kis liye haTne lagaa hoon main Phir saaree umr chaand ne rakkhaa miraa khayaal Ik roz kah diyaa thaa ki ghaTne lagaa hoon main