wo bichhad kar bhi kahaan mujh se judaa hota hai
— Munawwar Rana
Wo bichhaD kar bhee kahaan mujh se judaa hota hai
Ret par os se ik naam likhaa hota hai
Khaak aankhon se lagaa.ee to ye ehsaas huaa
Apnee miTTee se har ik shakhs juDaa hota hai
Saaree Dunya kaa safar khvaab men kar Daalaa hai
Koi manzar ho miraa dekhaa huaa hota hai
Main bhulaanaa bhee nahin chaahtaa is ko lekin
Mustaqil zakhm kaa rahnaa bhee buraa hota hai
Khauf men Duube hue shahr kee qismat hai yahee
Muntazir rahtaa hai har shakhs ki kya hota hai