ye hijr kaa rasta hai dhalaanen nahin hotiin
— Munawwar Rana
Ye hijr kaa rasta hai Dhalaanen naheen hoteen
Sahraa men charaaghon kee dukaanen naheen hoteen
Khushboo kaa ye jhonkaa abhee aayaa hai udhar se
Kis ne kahaa sahraa men azaanen naheen hoteen
Kya marte hue log ye insaan naheen hain
Kya hanste hue phoolon men jaanen naheen hoteen
Ab koee ghazal-chehra dikhaa.ee naheen detaa
Ab shahr men abroo kee kamaanen naheen hoteen
In par kisee mausam kaa asar kyuun naheen hota
Rad kyuun tiree yaadon kee uDaanen naheen hoteen
Ye sher hai chhup kar kabhee hamla naheen kartaa
Maidaanee ilaaqon men machaanen naheen hoteen
Kuch baat thee jo lab naheen khulte the hamaare
Tum samjhe the goongon ke zubanein naheen hoteen