ye sar buland hote hi shaane se kat gaya
— Munawwar Rana
Ye sar-buland hote hee shaane se kaT gaya
Main mohtaram huaa to zamaane se kaT gaya
Maan aaj mujh ko chhoD ke gaanv chalee ga.ee
Main aaj apne aa.eena-khaane se kaT gaya
JoDe kee shaan baDh ga.ee mahfil mahak uThee
Lekin ye phuul apne gharaane se kaT gaya
Ai aansooo tumhaaree zaroorat hai ab mujhe
Kuch mail to badan kaa nahaane se kaT gaya
Us peD se kisee ko shikaayat na thee magar
Ye peD sirf biich men aane se kaT gaya
Varna vahee ujaaD havelee see zindagee
Tum aa ga.e to vaqt Thikaane se kaT gaya