aankhon men ek silsila e khvaab saa rahaa
— Muzaffar Warsi
Aankhon men ek silsila-e-khvaab saa rahaa
Be-naam see talaash men be-taab saa rahaa
Ashkon men tere husn kee lau tairtee rahee
Paanee ke aasmaan pe mahtaab saa rahaa
Dariyaa see jab hayaat ko gahraa.ee mil ga.ee
Saahil ke aas-paas bhee girdaab saa rahaa
Laayaa gaya zabaan pe mujhe toD toD kar
Main ek daastaan thaa magar baab saa rahaa
Andar to aabshaar se mujh men giraa kiye
Aur dekhne men maahee-be-aab saa rahaa
Khaalee vujood hee liye phirtaa rahaa magar
Kaandhon pe 'umr bhar mire asbaab saa rahaa
Naghme bikhertaa hai miraa harf-e-talkh bhee
Khaama bhee mere haath men mizraab saa rahaa
Khaa.if saa hai agar miraa lahja to kya karoon
Fikr-o-nazar pe ghalba-e-aa'saab saa rahaa
Kaam aa.ee shaa'iree bhee 'muzaffar' ke kis qadar
Tanhaa.ee men bhee majma'-e-ahbaab saa rahaa