chaap aae ki mulaaqaat ho aavaaze se
— Muzaffar Warsi
Chaap aa.e ki mulaaqaat ho aavaaze se
Kab se tanhaa.ee lagee baiThee hai darvaaze se
Mujh se tasveer talab kartee hain meree aankhen
Main ne kuchh rang chune the tire sheeraaze se
Saaf-goee se ab aa.eena bhee katraataa hai
Ab to pahchaantaa huun khud ko bhee andaaze se
Main to miTTee kaa badan oDh ke khud niklaa huun
Kya Daraatee hain havaa.en mujhe khamiyaaze se
Apne chehre pe na auron ke khad-o-khaal sajaa
Ruup aataa hai kaheen utre hue ghaaze se
JhooTee azmat kee pujaaree hai 'muzaffar' duniyaa
Pasta-qad log bhee guzren baDe darvaaze se